IRCTC se Railway ticket book kaise kare ?
Namsate dosto,
Lambe dino baad aaj main aapke saamne apni ek post lekar aaya hu jisme main btauga ki aap IRCTC dwara railway tickets kaise book kar sakte hai
IRCTC matlab- Indian Railway Catering & Tourism Corporation Limited
Uske liye aap IRCTC pe register hone chahiye
Sabse pehle aap IRCTC ki website pe register kijiye
Register krne ke liye yaha Click kijiye
Note: aapke paas aadhar card hona chahiye agar aap new id register krte ho to
Sabse pehle aapko first name last name aur email id dalna padega
Aap username select kijiye waha jo bhi detail puchi gyi ho usko dhyaan se bhar dijiye
Aap successfully register hone ke baad aapke email pe username aur password praypat hoga ab aap
IRCTC ki website pe login kijiye
Successfully login hone ke baad
Ab aap ticket book kar sakte hai
Baaye haath ki side aapko fill krne ka option milega waha pe source station aur destination fir date jis din aapko yatra krni hai
Ab aap aage process kar sakte hai
Aapke saamne train name jo bhi train us din pe available hogi uski list aa jayegi ab aap train select kijiye class bhi select kijiye
Aapke saamne us din pe kitni seat khaali hai wo aapke saamne aa jayegi
Ab book now pe click kijiye uske baad apni detail darj kijiye
Detail darj krme ke baad
Ab aap payment option pe kisi bhi payment option ko chun sakte hai
Payment krne ke baad aapko seat aur coach number journey date
Ticket print krne ka option hoga aap chahe to saath ke saath print bhi kar sakte ho ya baad me bhi kar sakte ho
Kaisa laga hame btaye
Aapne apne kimati samay diya uske liye dhanyawaad
No comments: